Friday 7 June 2013

Karbala or Allama Iqbal

Dasht-e-Karbal mein khara soch raha tha Islam
Faida kiya huwa kafir ko musalman ker kay

 

Allama Iqbal said:
Daag-e-sajood agar teri payshani per huwa tou kiya
Koi aisa sajda bhi ker kay zameen per nishan rahay
----------------------------------------------------
Allama Iqbal said:
Zarurat torr deti hey guroor-o-bay-niyazi ko
No hoti koi majboori tou har banda Khuda hota
----------------------------------------------------
Allama Iqbal said:
Bayan sir-e-shahadat ki agar tafseer ho jaye
Musalmano ka qibla Roza-e-Shabbir ho jaye
Masjid ki safon se kabhi maqtal ki taraf dekh
Tauheed tujhay shabbir kay sajdon mein milay gi
Mita do zulm wahan se jahan jahan bhi dikhay
Is se behtar nahi hoga inteqam-e-Husain

Allama Iqbal said:
Juloos-e-Aza mein matamdari kerna Muhabbat-e-Husain hey
Aur musallay per ibadat kerna Maqsad-e-Husain hey
----------------------------------------------------
Allama Iqbal said:
Masjid ki safon se kabhi maqtal ki taraf dekh
Tauheed tujhay Husain kay sajday se milay gi
----------------------------------------------------
Allama Iqbal said:
Wo sajda rooh-e-zameen jis se kaanp jati thi
Usi ko aaj tarastay hain mimber-o-mehraab
----------------------------------------------------
Allama Iqbal said:
Islam ko fana se bachanay kay waastay
Qudrat ne Karbala mein pukara Husain ko

Allama Iqbal said:
Aatay hain aksar samandar mein toofan is liye bhi
Jab yaad aati hey samandar ko piyasay Husain ki

 

Allama Iqbal said:
Safar-e-Shaam likha aur qalam torr diya
Gham-e-Sarkar likha aur qalam torr diya
Ek unwaan liya piyas ka likhnay kay liye
Likh liya naam-e-Sakina aur qalam torr diya
Ek unwaan mila mujh ko jawani per likhoon
Naam Akbar ka likha aur qalam torr diya
Socha unwaan-e-wafa per bhi zara ghor karoon
Lafz Abbas likha aur qalam torr diya
Kiya karoon soch mein unwaan baray aatay hain
Hath seenay per rakha aur qalam torr diya
Likhta chadar per magar mujh ko jurrat na hui
Jee bhar kay aansu bahaye aur qalam torr diya
----------------------------------------------------
Kuch log Allama Iqbal kay ek shair ko aisay likhtay hain:
Royen wo jo munkir-e-shahadat-e-Husain hain
Hum zinda-o-javed ka matam nahi kertay
Allama Iqbal kay asal ashaar ye hain:
Apna koi marta hey tou rotay ho tarap ker
Per Sibt-e-Payamber ka kabhi gham nahi kertay
Himmat hey tou mehshar mein Payamber se ye kehna
Hum zinda-o-javed ka matam nahi kertay
Aansu na bahao kay ye zaib hey tum ko
Qatil kabhi maqtool ka matam nahi kertay
----------------------------------------------------
Allama Iqbal said:
Ehsas-e-Karbala tujhay ho jaye ga ek din
Tanha kisi azeez ki maiyyat utha ker dekh
----------------------------------------------------
Allama Iqbal said:
Mar ja Furaat apnay hi paani mein doob ker
Piyasa chala gaya hey teray paas se Husain

4 comments:

  1. I really appreciate if u provide reference for these lines please?
    Dasht-e-Karbal mein khara soch raha tha Islam
    Faida kiya huwa kafir ko musalman ker kay.

    ReplyDelete
  2. Allama Iqbal said:
    Ehsas-e-Karbala tujhay ho jaye ga ek din
    Tanha kisi azeez ki maiyyat utha ker dekh

    ReplyDelete